اردو हिंदी
Koi sanam to ho koi apna KHuda to ho | Shaahi Shayari
koi sanam to ho koi apna KHuda to ho

Ghazal

Koi sanam to ho koi apna KHuda to ho

Bashar Nawaz

;

koi sanam to ho koi apna KHuda to ho
is dasht-e-be-kasi mein koi aasra to ho

kuchh dhundle dhundle KHwab hain kuchh kanpte charagh
zad-e-safar yahi hai kuchh is ke siwa to ho

suraj hi jab na chamke to pighlegi barf kya
ban jaen wo bhi mom magar dil dukha to ho

har chehra maslahat ki naqabon mein kho gaya
mil baiThen kis ke sath koi aashna to ho

KHamosh pattharon ki tarah kyun hua hai shahr
dhaDkan dilon ki gar nahin aawaz-e-pa to ho

baqi hai ek dard ka rishta so wo bhi ab
kis se nibhaen hum koi dard-ashna to ho