اردو हिंदी
Koi milta nahin KHuda ki tarah | Shaahi Shayari
koi milta nahin KHuda ki tarah

Ghazal

Koi milta nahin KHuda ki tarah

Fahmi Badayuni

;

koi milta nahin KHuda ki tarah
phirta rahta hun main dua ki tarah

gham taaqub mein hain saza ki tarah
tu chhupa le mujhe KHata ki tarah

hai marizon mein tazkira mera
aazmai hui dawa ki tarah

ho rahin hain shahadaten mujh mein
aur main chup hun karbala ki tarah

jis ki KHatir charagh banta hun
ghurta hai wahi hawa ki tarah

waqt ke gumbadon mein rahta hun
ek gunji hui sada ki tarah