kisi tarah bhi to wo rah par nahin aaya
hamare kaam hamara hunar nahin aaya
wo yun mila tha ki jaise kabhi na bichhDega
wo yun gaya ki kabhi lauT kar nahin aaya
hum aap apna muqaddar sanwar lete magar
hamare hath kaf-e-kuza-gar nahin aaya
KHabar to thi ki maal-e-safar hai kya lekin
KHayal-e-tark-e-safar umr bhar nahin aaya
main apni aankh ke rauzan se dekh sakta hun
wo phul bhi jo abhi shaKH par nahin aaya
abhi dilon ki tanabon mein saKHtiyan hain bahut
abhi hamari dua mein asar nahin aaya
Ghazal
Kisi tarah bhi to wo rah par nahin aaya
Aftab Hussain