kisi pe bar-e-digar bhi nigah kar na sake
koi bhi shauq ba-hadd-e-gunah kar na sake
ujaDD-pane mein talab kar gae jawaz-e-KHata
KHizar ke sath bhi hum to nibah kar na sake
dayar-e-hijr basaya hai jo ki barson mein
dam-e-visal ki KHatir tabah kar na sake
aman talab na hue dasht-e-be-panah mein hum
sawad-e-jaan bhi magar harf-e-rah kar na sake
safar-maab yahi bahr-o-bar hai phir bhi hum
paron ko apne kusha KHwah-maKHwah kar na sake
Ghazal
Kisi pe bar-e-digar bhi nigah kar na sake
Ali Akbar Abbas