kis tawaqqoa pe kya uTha rakhiye
dil salamat nahin to kya rakhiye
likhiye kuchh aur dastan-e-dil
aur zamane ko mubtala rakhiye
sar mein sauda rahe mohabbat ka
panw mein KHak ki ana rakhiye
bund bhar aab kya muqaddar hai
abr rakhiye to kuchh hawa rakhiye
is se pahle koi jalane aae
aap apna hi ghar jala rakhiye
qabl-e-insaf chal basa mulzim
ab adalat se kya rawa rakhiye
jaan jaani hai jab abas hi 'hamesh'
phir to duniya se fasla rakhiye
Ghazal
Kis tawaqqoa pe kya uTha rakhiye
Ahmad Hamesh