kis tarah milen koi bahana nahin milta
hum ja nahin sakte unhen aana nahin milta
phirte hain wahan aap bhaTakti hai yahan ruh
ab gor mein bhi hum ko Thikana nahin milta
badnam kiya hai tan-e-anwar ki safa ne
dil mein bhi use raaz chhupana nahin milta
daulat nahin kaam aati jo taqdir buri ho
qarun ko bhi apna KHazana nahin milta
aankhen wo dikhate hain nikal jae agar baat
bosa to kahan honT hilana nahin milta
taqat wo kahan jaen tasawwur mein jo ai 'barq'
barson se hamein hosh mein aana nahin milta
Ghazal
Kis tarah milen koi bahana nahin milta
Mirza Raza Barq