KHushk putli se koi surat na Thahrai gai
aankh se aansu gae meri ki binai gai
subh-dam kya DhunDte ho shab-rawon ke naqsh-e-pa
jab se ab tak bar-ha mauj-e-saba aai gai
ro raha hun har purani chiz ko pahchan kar
jaane kis ki ruh mere rup mein lai gai
mutmain ho dekh kar tum rang-e-taswir-e-hayat
phir wo shayad wo nahin jo mujh ko dikhlai gai
chalte chalte kan mein kis ki sada aane lagi
yun laga jaise meri barson ki tanhai gai
hum ki apni rah ka patthar samajhte hain use
hum se jaane kis liye duniya na Thukrai gai
Ghazal
KHushk putli se koi surat na Thahrai gai
Khursheed Rizvi