اردو हिंदी
KHush hun ki zindagi ne koi kaam kar diya | Shaahi Shayari
KHush hun ki zindagi ne koi kaam kar diya

Ghazal

KHush hun ki zindagi ne koi kaam kar diya

Abdul Hamid Adam

;

KHush hun ki zindagi ne koi kaam kar diya
mujh ko supurd-e-gardish-e-ayyam kar diya

saqi siyah-KHana-e-hasti mein dekhna
raushan charagh kis ne sar-e-sham kar diya

pahle mere KHulus ko dete rahe fareb
aaKHir mere KHulus ko badnam kar diya

kitni duaen dun teri zulf-e-daraaz ko
kitna wasia silsila-e-dam kar diya

wo chashm-e-mast kitni KHabar-dar thi 'adam'
KHud hosh mein rahi hamein badnam kar diya