KHayal us ka kahan se kahan nahin jata
wahan bhi jae ki jis ja guman nahin jata
bas apne bagh mein mahw-e-KHiram rahta hai
ki KHud se dur wo sarw-e-rawan nahin jata
hijab us ke mere bich agar nahin koi
to kyun ye fasla-e-darmiyan nahin jata
koi Thaharta nahin yun to waqt ke aage
magar wo zaKHm ki jis ka nishan nahin jata
na jaane us ki zaban mein hai kya asar 'farruKH'
ki us se ho ke koi bad-guman nahin jata
Ghazal
KHayal us ka kahan se kahan nahin jata
Farrukh Jafari