kaun si duniya mein hun kis ki nigahbani mein hun 
zindagi hai saKHt mushkil phir bhi aasani mein hun 
chand hai pani mein ya bhule hue chehre ka aks 
sahil-e-dariya pe dekho main bhi hairani mein hun 
qatra-e-shabnam ke bhi ehsan yaad aane lage 
honT sukhe ja rahe hain jab se main pani mein hun 
bhuli-bisri yaad ek aai hai mere dil ke pas 
main bhi goya aaj kal is dil ki darbani mein hun 
ai KHizan kuchh der ko ye fasl-e-gul jine to de 
aaj-kal masruf main bhi chaak-damani mein hun
        Ghazal
Kaun si duniya mein hun kis ki nigahbani mein hun
Kausar Mazhari

