اردو हिंदी
Kamal-e-josh-e-junun mein raha main garm-e-tawaf | Shaahi Shayari
kamal-e-josh-e-junun mein raha main garm-e-tawaf

Ghazal

Kamal-e-josh-e-junun mein raha main garm-e-tawaf

Allama Iqbal

;

kamal-e-josh-e-junun mein raha main garm-e-tawaf
KHuda ka shukr salamat raha haram ka ghilaf

ye ittifaq mubarak ho mominon ke liye
ki yak zaban hain faqihan-e-sheher mere KHilaf

taDap raha hai falatun miyan-e-ghaib o huzur
azal se ahl-e-KHirad ka maqam hai aaraf

tere zamir pe jab tak na ho nuzul-e-kitab
girah-kusha hai na 'raazi' na sahib-e-kashshaf

surur o soz mein na-paedar hai warna
mai-e-farng ka tah-e-jura bhi nahin na-saf