kahta hai baghban lihaza na chahiye
warna chaman ka haal chhupana na chahiye
is mashwara ke sath ki charcha na chahiye
dil kah raha hai un pe bharosa na chahiye
paD jae KHadd-o-KHal-e-manazir pe raushni
itne qarib se bhi nazara na chahiye
hum ghaur kar rahe hain to mahfil hai fikr mein
uThna na chahiye ki uThana na chahiye
dastur hai guzarish-e-ahwal-e-waqai
qanun ye nahin hai ki shikwa na chahiye
tufan-e-inqalab se mayusiyon ke baad
kashti pukarti hai kinara na chahiye
gul-ha-e-rang-rang mein Thanti nahin kabhi
hum ko bhi is lihaz se jhagDa na chahiye
kaTti hai aarzu ke sahaare pe zindagi
kaise kahun kisi ki tamanna na chahiye
mera qusur ye hai ki hubb-e-watan mein 'shad'
likhta hun likh chuka hun jo likhna na chahiye
Ghazal
Kahta hai baghban lihaza na chahiye
Shaad Aarfi