kahin wo meri mohabbat mein ghul raha hi na ho
KHuda kare use ye tajraba hua hi na ho
supurdagi mera mear to nahin lekin
main sochta hun tere rup mein KHuda hi na ho
main tujh ko pa ke bhi kis shaKHs ki talash mein hun
mere KHayal mein koi tere siwa hi na ho
wo uzr kar ki mere dil ko bhi yaqin aae
wo git ga ki jo main ne kabhi suna hi na ho
wo baat kar jise phaila ke main ghazal kah lun
sunaun sher jo main ne abhi likha hi na ho
sahar ko dil ki taraf ye dhuan sa kaisa hai
kahin ye mera diya raat-bhar jala hi na ho
ho kaise jabr-e-mashiyat ko is dua ka lihaz
jo ek bar mile phir kabhi juda hi na ho
ye abr-o-kisht ki duniya mein kaise mumkin hai
ki umr-bhar ki wafa ka koi sila hi na ho
meri nigah mein wo peD bhi hai bad-kirdar
lada hua ho jo phal se magar jhuka hi na ho
jo dasht dasht se phulon ki bhik mangta tha
kahin wo toD ke kashkol mar gaya hi na ho
tulu-e-subh ne chamka diye hain abr ke chaak
'nadim' ye mera daman-e-muddaa hi na ho
Ghazal
Kahin wo meri mohabbat mein ghul raha hi na ho
Ahmad Nadeem Qasmi