اردو हिंदी
Kabhi surat jo mujhe aa ke dikha jate ho | Shaahi Shayari
kabhi surat jo mujhe aa ke dikha jate ho

Ghazal

Kabhi surat jo mujhe aa ke dikha jate ho

Ghulam Bhik Nairang

;

kabhi surat jo mujhe aa ke dikha jate ho
din meri zist ke kuchh aur baDha jate ho

ek jhalak tum jo lab-e-baam dikha jate ho
dil pe ek kaundti bijli si gira jate ho

mere pahlu mein tum aao ye kahan mere nasib
ye bhi kya kam hai tasawwur mein to aa jate ho

taza kar jate ho tum dil mein purani yaaden
KHwab-e-shirin se tamanna ko jaga jate ho

itni hum ko bhi dikhate ho masiha-nafasi
hasrat-e-murda ko aa aa ke jila jate ho

nigah-e-lutf mein jadu hai tumhaari jaanan
sare shikwe-gile ek pal mein bhula jate ho

shola-e-tur se tu wadi-e-aiman hi jala
tum jahan aate ho ek aag laga jate ho

hai to 'nairang' wahi ishq ka rona-dhona
inhi baaton mein naya rang dikha jate ho