اردو हिंदी
Kabhi KHandan kabhi giryan kabhi raqsa chaliye | Shaahi Shayari
kabhi KHandan kabhi giryan kabhi raqsa chaliye

Ghazal

Kabhi KHandan kabhi giryan kabhi raqsa chaliye

Ali Sardar Jafri

;

kabhi KHandan kabhi giryan kabhi raqsa chaliye
dur tak sath tere umr-e-gurezan chaliye

rasm-e-derina-e-alam ko badalne ke liye
rasm-e-derina-e-alam se gurezan chaliye

aasmanon se barasta hai andhera kaisa
apni palkon pe liye jashn-e-charaghan chaliye

shola-e-jaan ko hawa deti hai KHud baad-e-sumum
shola-e-jaan ki tarah chaak-gareban chaliye

aql ke nur se dil kijiye apna raushan
dil ki rahon se su-e-manzil-e-insan chaliye

gham nai subh ke tare ka bahut hai lekin
le ke ab parcham-e-KHurshid-e-daraKHshan chaliye

sar-ba-kaf chalne ki aadat mein na farq aa jae
kucha-e-dar mein sar-mast-o-ghazal-KHwan chaliye