اردو हिंदी
Jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana | Shaahi Shayari
jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana

Ghazal

Jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana

Momin Khan Momin

;

jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana
ai baad-e-saba meri karwaT to badal jaana

pa-laghz-e-mohabbat se mushkil hai sambhal jaana
us ruKH ki safai par is dil ka bahal jaana

sine mein jo dil taDpa dhar hi to diya dekha
phir bhul gaya kaisa main hath ka phal jaana

itna to na ghabrao rahat yahin farmao
ghar mein mere rah jao aaj aur bhi kal jaana

ai dil wo jo yan aaya kya kya hamein tarsaya
tu ne kahin sikhlaya qabu se nikal jaana

kya aise se dawa ho mahshar mein ki main ne to
nazzara-e-qatil ko ehsan-e-ajal jaana

hai zulm karam jitna tha farq paDa kitna
mushkil hai mizaj itna ek bar badal jaana

huron ki sana-KHwani waiz yun hi kab mani
le aa ki hai nadani baaton mein bahal jaana

ishq un ki bala jaane aashiq hon to pahchane
lo mujh ko atibba ne saude ka KHalal jaana

kya baaten banata hai wo jaan jalata hai
pani mein dikhata hai kafur ka jal jaana

matlab hai ki waslat mein hai bul-hawas aafat mein
is garmi-e-sohbat mein ai dil na pighal jaana

dam lene ki taqat hai bimar-e-mohabbat hai
itna bhi ghanimat hai 'momin' ka sambhal jaana