junun ko raKHt kiya KHak ko libaada kiya
main dasht dasht bhaTakne ka jab irada kiya
main nasehan ki sunta hun aur Talta hun
so qurb-e-husn chhuTa aur na tark-e-baada kiya
mahakte phul sitare damakta chand dhanak
tere jamal se kitnon ne istifada kya
hazar rang mein jalwa-numa tha husn-o-jamal
dil aur shoKH hua us ko jitna sada kiya
wo de raha tha talab se siwa sabhi ko 'KHayal'
so main ne daman-e-dil aur kuchh kushada kiya
Ghazal
Junun ko raKHt kiya KHak ko libaada kiya
Ahmad Khayal