junun-e-shauq ab bhi kam nahin hai
magar wo aaj bhi barham nahin hai
bahut mushkil hai duniya ka sanwarna
teri zulfon ka pech-o-KHam nahin hai
bahut kuchh aur bhi hai is jahan mein
ye duniya mahz gham hi gham nahin hai
taqaze kyun karun paiham na saqi
kise yan fikr-e-besh-o-kam nahin hai
udhar mashkuk hai meri sadaqat
idhar bhi bad-gumani kam nahin hai
meri barbaadiyon ka ham-nashino
tumhein kya KHud mujhe bhi gham nahin hai
abhi bazm-e-tarab se kya uThun main
abhi to aankh bhi pur-nam nahin hai
ba-in sail-e-gham o sail-e-hawadis
mera sar hai ki ab bhi KHam nahin hai
'majaz' ek baada-kash to hai yaqinan
jo hum sunte the wo aalam nahin hai
Ghazal
Junun-e-shauq ab bhi kam nahin hai
Asrar-ul-Haq Majaz