اردو हिंदी
Jumbish-e-kakul-e-mahbub se din Dhalta hai | Shaahi Shayari
jumbish-e-kakul-e-mahbub se din Dhalta hai

Ghazal

Jumbish-e-kakul-e-mahbub se din Dhalta hai

Abdul Hamid Adam

;

jumbish-e-kakul-e-mahbub se din Dhalta hai
hae kis KHubi-e-uslub se din Dhalta hai

phenk kulfat-zada suraj pe bhi chhinTe us ke
jis mai-e-dilkash-o-marghub se din Dhalta hai

koshish-e-banda-e-dana nahin kaamil hoti
sohbat-e-banda-e-majzub se din Dhalta hai

mehr ke walwala-e-rast se pau phaTti hai
mehr ke jazba-e-maqlub se din Dhalta hai

saqiya ek 'adam' ko bhi phureri us ki
jis khanakte hue mashrub se din Dhalta hai