jo ye har-su falak manzar khaDe hain
na jaane kis ke pairon par khaDe hain
tula hai dhup barsane pe suraj
shajar bhi chhatriyan le kar khaDe hain
unhen namon se main pahchanta hun
mere dushman mere andar khaDe hain
kisi din chand nikla tha yahan se
ujale aaj tak chhat par khaDe hain
ujala sa hai kuchh kamre ke andar
zamin-o-asman bahar khaDe hain

Ghazal
Jo ye har-su falak manzar khaDe hain
Rahat Indori