jo be-sabaat ho us sarKHushi ko kya kije
ye zindagi hai to phir zindagi ko kya kije
ruka jo kaam to diwangi hi kaam aai
na kaam aae to farzangi ko kya kije
ye kyun kahen ki hamein koi rahnuma na mila
magar sarisht ki aawargi ko kya kije
kisi ko dekh ke ek mauj lab pe aa to gai
uThe na dil se to aisi hansi ko kya kije
hamein to aap ne soz-e-alam hi baKHsha tha
jo nur ban gai us tirgi ko kya kije
hamare hisse ka ek jura bhi nahin baqi
nigah-e-dost ki mai-KHangi ko kya kije
jahan gharib ko nan-e-jawin nahin milti
wahan hakim ke dars-e-KHudi ko kya kije
visal-e-dost se bhi kam na ho saki 'rashid'
azal se pai hui tishnagi ko kya kije

Ghazal
Jo be-sabaat ho us sarKHushi ko kya kije
Noon Meem Rashid