jawani kya hui ek raat ki kahani hui
badan purana hua ruh bhi purani hui
koi aziz nahin ma-siwa-e-zat hamein
agar hua hai to yun jaise zindagani hui
na hogi KHushk ki shayad wo lauT aae phir
ye kisht guzre hue abr ki nishani hui
tum apne rang nahao main apni mauj uDun
wo baat bhul bhi jao jo aani-jaani hui
main us ko bhul gaya hun wo mujh ko bhul gaya
to phir ye dil pe kyun dastak si na-gahani hui
kahan tak aur bhala jaan ka hum ziyan karte
bichhaD gaya hai to ye us ki mehrbani hui
Ghazal
Jawani kya hui ek raat ki kahani hui
Obaidullah Aleem