اردو हिंदी
Jamegi kaise bisat-e-yaran ki shisha o jam bujh gae hain | Shaahi Shayari
jamegi kaise bisat-e-yaran ki shisha o jam bujh gae hain

Ghazal

Jamegi kaise bisat-e-yaran ki shisha o jam bujh gae hain

Faiz Ahmad Faiz

;

jamegi kaise bisat-e-yaran ki shisha o jam bujh gae hain
sajegi kaise shab-e-nigaran ki dil sar-e-sham bujh gae hain

wo tirgi hai rah-e-butan mein charagh-e-ruKH hai na sham-e-wada
kiran koi aarzu ki lao ki sab dar-o-baam bujh gae hain

bahut sambhaala wafa ka paiman magar wo barsi hai ab ke barkha
har ek iqrar miT gaya hai tamam paigham bujh gae hain

qarib aa ai mah-e-shab-e-gham nazar pe khulta nahin kuchh is dam
ki dil pe kis kis ka naqsh baqi hai kaun se nam bujh gae hain

bahaar ab aa ke kya karegi ki jin se tha jashn-e-rang-o-naghma
wo gul sar-e-shaKH jal gae hain wo dil tah-e-dam bujh gae hain