jahan se hota hai pyare KHuda ka nam shurua
wahin se karte hum zindagi ka kaam shurua
ye kaisi rah-e-safar hai ye kaisa aalam hai
ki panw rakkhen jahan bhi wahin maqam shurua
jahan pe hota hai dil pe nuzul-e-bar-e-azab
wahin se hota hai duniya ka ye nizam shurua
na socho waqt bahut kam hai zindagi kam hai
jo ho sake to karo gardish-e-mudam shurua
sukut o shor ke mabain koi hai maujud
jahan ho KHatm samaat wahin kalam shurua
baDi ajib hai ye dastan-e-ishq 'hamesh'
sawera hone se pahle ho goya sham shurua
Ghazal
Jahan se hota hai pyare KHuda ka nam shurua
Ahmad Hamesh