jahan-e-arzu aawaz hi aawaz hota hai
baDi mushkil se ehsas-e-shikast-e-saz hota hai
hamein kya aap anjam-e-mohabbat se Daraate hain
hamare KHun se har daur ka aaghaz hota hai
qafas hai dam hai bhaDki hui hai aatish-e-gul bhi
isi mahaul mein andaza-e-parwaz hota hai
pighal jati hain zanjiren sulag uThti hain diwaren
lab-e-KHamosh mein wo shola-e-awaz hota hai
mohabbat ki haqiqat khul gai chaak-e-gireban se
junun bhi ek manzil mein zamana-saz hota hai
hamin par munhasir hai raunaq-e-bazm-e-jahan 'qabil'
koi naghma ho apna hi rahin-e-saz hota hai
Ghazal
Jahan-e-arzu aawaz hi aawaz hota hai
Qabil Ajmeri