jab se main KHud ko kho raha hun 
karwaT badal ke so raha hun 
ye jagna aur sona kya hai 
aankhon mein jahan samo raha hun 
duniya se ulajh ke sar par shayad 
apni hi bala ko Dho raha hun 
ye lag aur lagaw kya hai 
apna wajud hi Dubo raha hun 
ab tak jo zindagi hai guzri 
kanTe nafas mein bo raha hun 
hai kuchh to apni parda-dari 
na jagta hun na so raha hun 
itna hai khoT mere man mein 
pani mein dudh bilo raha hun 
ai dil-figar be-sabaat hasti 
teri hi jaan ko ro raha hun 
jitni hai dur maut mujh se 
itna hi qarib ho raha hun 
shiraaza yun bikhar raha hai 
KHud mein tabah ho raha hun 
kis raste par ja rahi hai duniya 
ye dekh ke hi to ro raha hun 
jaane 'hamesh' KHud ko kab se 
be-wajh lahu mein Dubo raha hun
        Ghazal
Jab se main KHud ko kho raha hun
Ahmad Hamesh

