jab kabhi baat kisi ki bhi buri lagti hai
aisa lagta hai ki sine mein chhuri lagti hai
raat bhaari thi to the us ke sitam se be-zar
subh aai hai to wo aur buri lagti hai
wo ho aaraish-e-afkar ki zebaish-e-fan
aaj donon ki rawish KHana-puri lagti hai
log mange ke ujale se hain aise marub
raushni apne charaghon ki buri lagti hai
ahl-e-danish hue arbab-e-siyasat ke murid
aisi pasti pe mere dil mein chhuri lagti hai
Ghazal
Jab kabhi baat kisi ki bhi buri lagti hai
Aal-e-Ahmad Suroor