اردو हिंदी
Jab chhai ghaTa lahrai dhanak ek husn-e-mukammal yaad aaya | Shaahi Shayari
jab chhai ghaTa lahrai dhanak ek husn-e-mukammal yaad aaya

Ghazal

Jab chhai ghaTa lahrai dhanak ek husn-e-mukammal yaad aaya

Bashar Nawaz

;

jab chhai ghaTa lahrai dhanak ek husn-e-mukammal yaad aaya
un hathon ki mehndi yaad aai un aankhon ka kajal yaad aaya

sau tarah se KHud ko bahla kar hum jis ko bhulae baiThe the
kal raat achanak jaane kyun wo hum ko musalsal yaad aaya

tanhai ke sae bazm mein bhi pahlu se juda jab ho na sake
jo umr kisi ke sath kaTi us umr ka pal pal yaad aaya

jo zist ke tapte sahra par bhule se kabhi barsa bhi nahin
har moD pe har ek manzil par phir kyun wahi baadal yaad aaya

hum zud-faramoshi ke liye badnam bahut hain phir bhi 'bashar'
jab jab bhi chali madmati pawan uDta hua aanchal yaad aaya