jab bhi nazm-e-mai-kada badla gaya
ek na ek jam-e-hasin toDa gaya
jab safina mauj se Takra gaya
naKHuda ko bhi KHuda yaad aa gaya
main ne chheDa qissa-e-jaur-e-falak
jaane kyun un ko pasina aa gaya
dekh kar un ki jafaon ka KHulus
main wafa ke nam par sharma gaya
aap ab aae aansu ponchhne
jab mere daman pe dhabba aa gaya
Ghazal
Jab bhi nazm-e-mai-kada badla gaya
Fana Nizami Kanpuri