jaane kahan the aur chale the kahan se hum
bedar ho gae kisi KHwab-e-giran se hum
ai nau-bahaar-e-naz teri nikhaton ki KHair
daman jhaTak ke nikle tere gulsitan se hum
pindar-e-ashiqi ki amanat hai aah-e-sard
ye tir aaj chhoD rahe hain kaman se hum
aao ghubar-e-rah mein DhunDen shamim-e-naz
aao KHabar bahaar ki puchhen KHizan se hum
aaKHir dua karen bhi to kis muddaa ke sath
kaise zamin ki baat kahen aasman se hum

Ghazal
Jaane kahan the aur chale the kahan se hum
Ahmad Nadeem Qasmi