jaan us ki adaon par nikalti hi rahegi
ye chheD jo chalti hai so chalti hi rahegi
zalim ki to aadat hai satata hi rahega
apni bhi tabiat hai bahalti hi rahegi
dil rashk-e-adu se hai sipand-e-sar-e-atish
ye shama teri bazm mein jalti hi rahegi
ghamza tera dhoka yunhi deta hi rahega
talwar tere kuche mein chalti hi rahegi
ek aan mein wo kuchh hain to ek aan mein kuchh hain
karwaT meri taqdir badalti hi rahegi
andaz mein shoKHi mein shararat mein haya mein
wan ek na ek baat nikalti hi rahegi
'wahshat' ko raha uns jo yun fann-e-suKHan se
ye shaKH-e-hunar phulti-phalti hi rahegi
Ghazal
Jaan uski adaon par nikalti hi rahegi
Wahshat Raza Ali Kalkatvi