اردو हिंदी
Jaan uski adaon par nikalti hi rahegi | Shaahi Shayari
jaan uski adaon par nikalti hi rahegi

Ghazal

Jaan uski adaon par nikalti hi rahegi

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

;

jaan us ki adaon par nikalti hi rahegi
ye chheD jo chalti hai so chalti hi rahegi

zalim ki to aadat hai satata hi rahega
apni bhi tabiat hai bahalti hi rahegi

dil rashk-e-adu se hai sipand-e-sar-e-atish
ye shama teri bazm mein jalti hi rahegi

ghamza tera dhoka yunhi deta hi rahega
talwar tere kuche mein chalti hi rahegi

ek aan mein wo kuchh hain to ek aan mein kuchh hain
karwaT meri taqdir badalti hi rahegi

andaz mein shoKHi mein shararat mein haya mein
wan ek na ek baat nikalti hi rahegi

'wahshat' ko raha uns jo yun fann-e-suKHan se
ye shaKH-e-hunar phulti-phalti hi rahegi