jagta hun main ek akela duniya soti hai
kitni wahshat hijr ki lambi raat mein hoti hai
yaadon ke sailab mein jis dam main ghir jata hun
dil-diwar udhar jaane ki KHwahish hoti hai
KHwab dekhne ki hasrat mein tanhai meri
aankhon ki banjar dharti mein ninden boti hai
KHud ko tasalli dena kitna mushkil hota hai
koi qimti chiz achanak jab bhi khoti hai
umr-safar jari hai bas ye khel dekhne ko
ruh badan ka bojh kahan tak kab tak Dhoti hai
Ghazal
Jagta hun main ek akela duniya soti hai
Shahryar