اردو हिंदी
Ishq phir ishq hai aashufta-sari mange hai | Shaahi Shayari
ishq phir ishq hai aashufta-sari mange hai

Ghazal

Ishq phir ishq hai aashufta-sari mange hai

Unwan Chishti

;

ishq phir ishq hai aashufta-sari mange hai
hosh ke daur mein bhi jama-dari mange hai

hae aaghaz-e-mohabbat mein wo KHwabon ke tilism
zindagi phir wahi aaina-gari mange hai

dil jalane pe bahut tanz na kar ai nadan
shab-e-gesu bhi jamal-e-sahari mange hai

main wo aasuda-e-jalwa hun ki teri KHatir
har koi mujh se meri KHush-nazari mange hai

teri mahki hui zulfon se ba-andaz-e-hasin
jaane kya chiz nasim-e-sahari mange hai

aap chahen to tasawwur bhi mujassam ho jae
zauq-e-azar to nai jalwagari mange hai

husn hi to nahin betab-e-numaish 'unwan'
ishq bhi aaj nai jalwagari mange hai