ishq mein marke bala ke rahe
aaKHirash hum shikast kha ke rahe
ye alag baat hai ki haare hum
hashr ek bar to uTha ke rahe
safar-e-gham ki baat jab bhi chali
tazkire tere naqsh-e-pa ke rahe
jab bhi aai koi KHushi ki ghaDi
din ghamon ke bhi yaad aa ke rahe
jis mein sara hi shahr dafn hua
faisle sab aTal hawa ke rahe
apni surat bigaD gai lekin
hum unhen aaina dikha ke rahe
honT tak si diye the phir bhi 'nazar'
zulm ki dastan suna ke rahe
Ghazal
Ishq mein marke bala ke rahe
Zuhoor Nazar