اردو हिंदी
Ishq ka naghma junun ke saz par gate hain hum | Shaahi Shayari
ishq ka naghma junun ke saz par gate hain hum

Ghazal

Ishq ka naghma junun ke saz par gate hain hum

Ali Sardar Jafri

;

ishq ka naghma junun ke saz par gate hain hum
apne gham ki aanch se patthar ko pighlate hain hum

jag uThte hain to suli par bhi nind aati nahin
waqt paD jae to angaron pe so jate hain hum

zindagi ko hum se baDh kar kaun kar sakta hai pyar
aur agar marne pe aa jaen to mar jate hain hum

dafn ho kar KHak mein bhi dafn rah sakte nahin
lala-o-gul ban ke viranon pe chha jate hain hum

hum ki karte hain chaman mein ehtimam-e-rang-o-bu
ru-e-geti se naqab-e-husn sarkate hain hum

aks paDte hi sanwar jate hain chehre ke nuqush
shahid-e-hasti ko yun aaina dikhlate hain hum

mai-kashon ko muzhda sadiyon ke pyason ko nawed
apni mahfil apna saqi le ke ab aate hain hum