اردو हिंदी
Ise manzur nahin chhoD jhagaDta kya hai | Shaahi Shayari
ise manzur nahin chhoD jhagaDta kya hai

Ghazal

Ise manzur nahin chhoD jhagaDta kya hai

Zafar Iqbal

;

ise manzur nahin chhoD jhagaDta kya hai
dil hi kam-maya hai apna to akaDta kya hai

apne soe hue suraj ki KHabar le ja kar
is kamin-gah mein kirnon ko pakaDta kya hai

jaanta hai ki utar jaegi dil mein meri baat
warna sun le tu bata tera bigaDta kya hai

shabnam-e-taza hai ye phul hain ya pate hain
dekh shaKH-e-shajar-e-sham se jhaDta kya hai

do qadam hai shab-e-gham se shab-e-wada ai dil
chand aahon ke siwa rah mein paDta kya hai

dil to bharpur samundar hai 'zafar' kya kije
do ghaDi baiTh ke rone se nabaDta kya hai