is raaz ko kya jaanen sahil ke tamashai
hum Dub ke samjhe hain dariya teri gahrai
jag ai mere ham-saya KHwabon ke tasalsul se
diwar se aangan mein ab dhup utar aai
chalte hue baadal ke sae ke taaqub mein
ye tishna-labi mujh ko sahraon mein le aai
ye jabr bhi dekha hai tariKH ki nazron ne
lamhon ne KHata ki thi sadiyon ne saza pai
kya saneha yaad aaya 'razmi' ki tabahi ka
kyun aap ki nazuk si aankhon mein nami aai
Ghazal
Is raaz ko kya jaanen sahil ke tamashai
Muzaffar Razmi