اردو हिंदी
In labon se ab hamare lafz ruKHsat chahte hain | Shaahi Shayari
in labon se ab hamare lafz ruKHsat chahte hain

Ghazal

In labon se ab hamare lafz ruKHsat chahte hain

Zulfiqar Ahmad Tabish

;

in labon se ab hamare lafz ruKHsat chahte hain
jagti aankhon mein KHwabon ki salamat chahte hain

naqsh ki surat likhi aawaz ko de do rihai
be-takallum lafz bhi ab to ibarat chahte hain

aisi yaKH-basta KHamoshi mein na phir zinda bachenge
mere ThiThure honT lafzon ki hararat chahte hain

mere hathon par likhi tahrir mujh se kah rahi thi
aane wale waqt lafzon ki shahadat chahte hain

ye dar-o-diwar par be-nam se chup-chap sae
phulon raston aur bachchon ki hifazat chahte hain

hijr ke mausam mein yaad aati hai KHushbu doston ki
hum udasi mein bhi yaron ki rifaqat chahte hain