اردو हिंदी
Ek nur tha ki pichhle pahar ham-safar hua | Shaahi Shayari
ek nur tha ki pichhle pahar ham-safar hua

Ghazal

Ek nur tha ki pichhle pahar ham-safar hua

Akhtar Hoshiyarpuri

;

ek nur tha ki pichhle pahar ham-safar hua
mujh ko qaba ka chaak hi chaak-e-sahar hua

sailab umanD ke shahar ki galiyon mein aa gae
lekin gharib-e-shahr ka daman na tar hua

zindan-e-arzu mein nazar be-basar rahi
diwar dar hui to kiran ka guzar hua

wo aandhiyan chali hain ki ashjar ukhaD gae
dukkan-e-shishagar pe na phir bhi asar hua

ab kaun dekhta phire kyun baam-o-dar jale
jo kuchh hua hai fasl-e-chaman se udhar hua