اردو हिंदी
HonTon pe qarz-e-harf-e-wafa umr bhar raha | Shaahi Shayari
honTon pe qarz-e-harf-e-wafa umr bhar raha

Ghazal

HonTon pe qarz-e-harf-e-wafa umr bhar raha

Akhtar Hoshiyarpuri

;

honTon pe qarz-e-harf-e-wafa umr bhar raha
maqruz tha so chup ki sada umr bhar raha

kuchh darguzar ki un ko bhi aadat na thi kabhi
kuchh main bhi apni zid pe uDa umr bhar raha

wo tajrabe hue ki mere KHun ki KHair ho
yaro main apne ghar se juda umr bhar raha

mausam ka habs shab ki siyahi fasil-e-shahr
mujrim tha sar jhukae khaDa umr bhar raha

subh o masa ki gardish-e-paiham ke bawajud
main darmiyan-e-subh-o-masa umr bhar raha

in barishon mein kaun bahe KHar-o-KHas ke sath
suraj ki le ke sar pe rida umr bhar raha

hathon se oT ki to sabhi ungliyan jalin
phir bhi hawa ki zad pe diya umr bhar raha

ek KHun ki KHalij mere samne rahi
aur mere pichhe saya mera umr bhar raha

'aKHtar' ye jangalon mein usi ke nishan hain
jo KHar KHar aabla-pa umr bhar raha