اردو हिंदी
HonTon pe hansi aankh mein taron ki laDi hai | Shaahi Shayari
honTon pe hansi aankh mein taron ki laDi hai

Ghazal

HonTon pe hansi aankh mein taron ki laDi hai

Qabil Ajmeri

;

honTon pe hansi aankh mein taron ki laDi hai
wahshat baDe dilchasp do-rahe pe khaDi hai

dil rasm-o-rah-e-shauq se manus to ho le
takmil-e-tamanna ke liye umr paDi hai

chaha bhi agar hum ne teri bazm se uThna
mahsus hua panw mein zanjir paDi hai

aawara o ruswa hi sahi hum manzil-e-shab mein
ek subh-e-bahaaran se magar aankh laDi hai

kya naqsh abhi dekhiye hote hain numayan
haalat ke chehre se zara gard jhaDi hai

kuchh der kisi zulf ke sae mein Thahar jaen
'qabil' gham-e-dauran ki abhi dhup kaDi hai