hawaen tez thin ye to faqat bahane the
safine yun bhi kinare pe kab lagane the
KHayal aata hai rah rah ke lauT jaane ka
safar se pahle hamein apne ghar jalane the
guman tha ki samajh lenge mausamon ka mizaj
khuli jo aankh to zad pe sabhi Thikane the
hamein bhi aaj hi karna tha intizar us ka
use bhi aaj hi sab wade bhul jaane the
talash jin ko hamesha buzurg karte rahe
na jaane kaun si duniya mein wo KHazane the
chalan tha sab ke ghamon mein sharik rahne ka
ajib din the ajab sar-phire zamane the
Ghazal
Hawaen tez thin ye to faqat bahane the
Aashufta Changezi