اردو हिंदी
Hargiz kabhi kisi se na rakhna dila gharaz | Shaahi Shayari
hargiz kabhi kisi se na rakhna dila gharaz

Ghazal

Hargiz kabhi kisi se na rakhna dila gharaz

Shad Azimabadi

;

hargiz kabhi kisi se na rakhna dila gharaz
jab kuchh gharaz nahin to zamane se kya gharaz

phaila ke hath muft mein honge zalil hum
mahrum tere dar se phiregi dua gharaz

duniya mein kuchh to ruh ko is jism se hai kaam
milta hai warna kaun kisi se bila gharaz

wasl o firaq o hasrat o ummid se khula
hamrah hai har ek baqa ke fana gharaz

ek phir ke dekhne mein gai saikDon ki jaan
teri har ek ada mein bhari hai jafa gharaz

dekha to tha yahi sabab-e-hasrat-o-alam
majbur ho ke tark kiya muddaa gharaz

kyunkar na ruh o jism se ho chand din milap
is ko juda gharaz hai to us ko juda gharaz

ilzam ta-ki sar pe kisi tarah ka na ho
ai 'shad' DhunDti hai bahane qaza gharaz