اردو हिंदी
Har shai musafir har chiz rahi | Shaahi Shayari
har shai musafir har chiz rahi

Ghazal

Har shai musafir har chiz rahi

Allama Iqbal

;

har shai musafir har chiz rahi
kya chand tare kya murgh o mahi

tu mard-e-maidan tu mir-e-lashkar
nuri huzuri tere sipahi

kuchh qadr apni tu ne na jaani
ye be-sawadi ye kam-nigahi

duniya-e-dun ki kab tak ghulami
ya rahebi kar ya padshahi

pir-e-haram ko dekha hai main ne
kirdar-e-be-soz guftar wahi