اردو हिंदी
Har ek maqam se aage guzar gaya mah-e-nau | Shaahi Shayari
har ek maqam se aage guzar gaya mah-e-nau

Ghazal

Har ek maqam se aage guzar gaya mah-e-nau

Allama Iqbal

;

har ek maqam se aage guzar gaya mah-e-nau
kamal kis ko mayassar hua hai be-tag-o-dau

nafas ke zor se wo ghuncha wa hua bhi to kya
jise nasib nahin aaftab ka partaw

nigah pak hai teri to pak hai dil bhi
ki dil ko haq ne kiya hai nigah ka pairaw

panap saka na KHayaban mein lala-e-dil-soz
ki sazgar nahin ye jahan-e-gandum-o-jau

rahe na 'aibak' o 'ghauri' ke marke baqi
hamesha taza o shirin hai naghma-e-'KHusrau'