har be-zaban ko shoala-nawa kah liya karo
yaro sukut hi ko sada kah liya karo
KHud ko fareb do ki na ho talKH zindagi
har sang-dil ko jaan-e-wafa kah liya karo
gar chahte ho KHush rahen kuchh bandagan-e-KHas
jitne sanam hain un ko KHuda kah liya karo
yaro ye daur zoaf-e-basarat ka daur hai
aandhi uThe to us ko ghaTa kah liya karo
insan ka agar qad-o-qamat na baDh sake
tum is ko naqs-e-ab-o-hawa kah liya karo
apne liye ab ek hi rah-e-najat hai
har zulm ko raza-e-KHuda kah liya karo
le de ke ab yahi hai nishan-e-ziya 'qatil'
jab dil jale to is ko diya kah liya karo
Ghazal
Har be-zaban ko shoala-nawa kah liya karo
Qateel Shifai