hans raha tha main bahut go waqt wo rone ka tha
saKHt kitna marhala tujh se juda hone ka tha
rat-jage taqsim karti phir rahi hain shahr mein
shauq jin aankhon ko kal tak raat mein sone ka tha
is safar mein bas meri tanhai mere sath thi
har qadam kyun KHauf mujh ko bhiD mein khone ka tha
har bun-e-mu se darindon ki sada aane lagi
kaam hi aisa badan mein KHwahishen bone ka tha
main ne jab se ye suna hai KHud se bhi nadim hun main
zikr tujh honTon pe mere dar-ba-dar hone ka tha
Ghazal
Hans raha tha main bahut go waqt wo rone ka tha
Shahryar