hamare KHun ke pyase pashemani se mar jaen
agar hum ek din apni hi nadani se mar jaen
aziyyat se janam leti suhulat ras aati hai
koi aisi paDe mushkil ki aasani se mar jaen
adhuri si nazar kafi hai us aaina-dari par
agar hum ghaur se dekhen to hairani se mar jaen
bana rakkhi hain diwaron pe taswiren parindon ki
wagarna hum to apne ghar ki virani se mar jaen
agar wahshat ka ye aalam raha to ain-mumkin hai
sukun se jite jite bhi pareshani se mar jaen
kahin aisa na ho yarab ki ye tarse hue aabid
teri jannat mein ashya ki farawani se mar jaen
Ghazal
Hamare KHun ke pyase pashemani se mar jaen
Afzal Khan