hum sochte hain raat mein taron ko dekh kar
shamen zamin ki hain jo dagh aasman ke hain
jannat mein KHak baada-paraston ka dil lage
naqshe nazar mein sohbat pir-e-mughan ke hain
apna maqam shaKH-e-burida hai bagh mein
gul hain magar satae hue baghban ke hain
ek silsila hawas ka hai insan ki zindagi
is ek musht-e-KHak ko gham do-jahan ke hain
Ghazal
Hum sochte hain raat mein taron ko dekh kar
Chakbast Brij Narayan